yet another day when I don't feel like doing anything. I just feel like writing and that too on paper using pencil or rather I am feeling more like drawing something using pencil and paper. So, what can be done?
Likhne ko to bahut ji chahta hai,
magar likhne ke liye kuchh sujhta nahi hai,
likhe to likhe kya,
vahi do-char vishay rah gaye hai,
kabhi karyalay ki murkhta pe likhte hai,
kabhi likhte hai khudki jindagi pe,
kabhi likh dete hai is jahan ki buraion pe,
nahi vo bhi sujha to likhe dete hai pyar pe,
kya jindgai yahi reh gayi hai,
kya inhi chakkaro me vo khatam ho jayegi,
kya kabhi vo nayi subah hogi,
jab hum khoye rahenge apni hi dhun me,
har ek pal ka maja le rahe honge,
na sar pe mandara rahi hogi koi chinta,
na bachegi kisi ko kuchh sabit karne ki aavshyakta,
na hogi kabhi kami jindagi jine ke liye,
pyar hi pyar hoga is jaha me,
ulajh rahe hai hum is khwab me is tarah,
ki hakikat me dur ja rahe khwab se,
ye likhte likhte hum kaha pahuch gaye hai,
kyon khudsehi hum khafa ho rahe hai,
likhne ka to bahut ji chahta hai,
magar likhne ke liye kuchh sujhta nahi hai.